Ghazal
Aashiq hoon, ishq ke siwa kiya kya hai
Na kaho, ke tum faqeer ho, diya kya hai
Mehram bhi ho, haram bhi, haraam bhi
Ahraam baandhe hoon, ab haya kya hai
Aayega voh laut kar, phir mere hi paas
Zingdagi khel samjhe hai, jiya kya hai
Aashiq ka gribaan hai, kitne jatan karoge
Sau baar hi taanka hai abhi, siya kya hai
Tumhari hi chahat hai, baqi to bas hain
Aakhirat bhi chhod doonga, duniya kya hai
Sadqe tumhari pyaas ke yeh jaam surahi
Darya hi sukhaya hai abhi, piya kya hai
Hum se aashiq hain har dar pe hazaron
Tu na ho mehboob to phir naya kya hai
Sirf naam-o-izzat-o-daulat hi luti hai abhi
Jab tum ho saath mere, to phir gaya kya hai
Jaan, rehne do andhera kuch daer aur abhi
Saraapa noor ho tum, mujhe diya kya hai
Khudaaon ke Khuda khud ho, mujh se poochho
Masjid ko jaao kyun, tumhen khuda kya hai
Bhoolun main khudi ko, khud ko, khuda ko
Mujhko jo mil jaaye tu, to phir bachaa kya hai
Khushdil ki khataon ko muaaf kaun karega
Nafraton ka daur hai, yeh maajraa kya hai
-
(c) owais Creative Commons Attribution license
No comments:
Post a Comment