Wednesday, December 12, 2018

POEMH: Ghazal - Mubarak / Nahin Hai

Ghazal - Mubarak / Nahin Hai

Mubarak mere yaar tujhko ameeri, mujhe teri koi zaroorat nahin hai
Bohot sang mere hai jachti gharibi, mujhe teri koi zaroorat nahin hai

Milkar rahenge to apne rahenge, nahin mil sake to bhi jeete rahenge
Pyaara nahin tera main bhi hoon koi, mujhe teri koi zaroorat nahin hai

Dikhti teri chahaten hain hazaron, pa tere siwa koi meri nahin hai
Tujhe mujhse hajat jo hogi so hogi, mujhe teri koi zaroorat nahin hai

Main aashiq hoon aur ishq hai kaam mera, tu hi ho ke aur maashooq koi 
Mujhe chahiye bas faqat hai aseeri, mujhe teri koi zaroorat nahin hai

Aata hai pa aata nahin, milta hai pa milta nahin, karta hai pa karta nahin 
Mili tujhse mujhko kahan koi sairi, mujhe teri koi zaroorat nahin hai

Khushdil to hoon, pa dil mein tu bhi nahin hai,  khushi bhi nahin hai, 
Zinda to hoon, pa sunle meri zindagi, mujhe teri koi zaroorat nahin hai


No comments:

Al Ghazali: The Venom For Which We Still Have No Antidote

 Al Ghazali: The Venom For Which We Still Have No Antidote Hypothesis: Al Ghazali is a necessary, though not sufficient reason why most Musl...